Kuch Sawal Hain Tujhse- Yahya Bootwala

Teri galiyon se mera guzarna kya kam hua, sidhiyo pe baithe tere aashique ka intazar mukammal sa ho gaya..

Par kuch sawal hain tujhse,

kya teri peshani ki shikanjo ko uske hoth waise hi sehla dete hain jaise mere hoth sehlaya karte the..

kya uski paas ati saanso ki garmi tere dil ki dhadkan waise hi badha deti hain jaise meri saanse badhaya karti thi..

kya sard raato me tu aaj bhi kambal chhupa deti hain taake lipatne ka ek aur bahana mil jaaye..

kya shabab ke nashe me aaj bhi gum hokar tu usko apne saare raaz bata deti hain aur fir hosh me aake wahi baate dohra deti hain jaise mere saamne dohraya karti thi..

Bol naa..

kya tu aaj bhi apni zulfo ko apne gaalo se fisalne deti hain taake wo ungaliyo se use phir se pichhe kar sake jaise main kiya karta tha..

kya wo bhi teri aakho me aakhe daal kar shaamo ko raate kar deta hain jaise main kiya karta tha..

kya use bhi dikha di wo saari taswire jisme tu aaj bhi apna bachpan khojti hain..

kya use bhi bata di wo saari baate jo tune mujhe ye kehke batayi thi ke aaj tak kisiko nahu bataya..

Bol naa..!!

chal in sab sawalo ka jawab mat de bas ek sawal ka jawab de, ke kya tu bhul gayi wo raat jab qamre me sirf hum the, maine tujhe qaske pakda tha aur tere kandhe pe sir zuka ke tere kaano me halke se maine ye kaha tha ki “kabhi chodna mat”, aur tune kaha tha “kabhi nahi”.

Bol naa..!!

–Yahya Bootwala

Leave a comment